Surah Mulk Ka Taroof
Surah mulk Quran ki 67 Surah hai. surah mulk 29 pare me aati hai. Iss surah me 30 aayate mushtamil hai. ye surah makki surah hai. ye surah allah ki qudrat aur hukumat ko bayan karti hai. Allah subhana tala insan ko yaad dilata hai ki iss surah se. ke zindagi aur maut ka malik sirf Allah hai. Aur es kainat ko bnane wala Allah hai jamino asmano ko banane wala Allah hai.
Surah Mulk Ki Fazilat
Surah mulk per Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam farmate hai ki surah mulk azab e qabar se bachati hai. Surah mulk apne padhne walo ke liye qayamat ke din Allah subhana tala se shifarish karenge. hatta ke wo jhagda karegi aur apne padhne walo ko bacha kar le jayegi. To isse pata chalta hai ki ye surah hamare liye kitni ahem hai to hame chahiye ke rojana es surah ko parhe.
Surah Mulk Se Raat Ki Hifazat
Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam uss waqt tak na sote jab tak surah alam surah tanzil(surah sajdah ) surah n.o 32 aur surah mulk surah n.o 67 na padhte tab tak na sote. Kyunki ye surah qabar ke azab se nizat deti hai. To hame bhi chahiye ke es amal ko apne zindagi mein kare. Aur rojana ratko parhkar soye.
Surah Mulk Ki Ahmiyat
Surah mulk qabar ke azab se bachati hai. Jo Roz is surah ko padhte hai uski shafat karti hai to lihaza har shakhs ko chahiye ki rozana is surah ko apne amal mein laaye aur rozana sone se pehle padh kar Soye.
Raat Ko Surah Mulk Parhne Ke Fayde
Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ki jo shakhs rat ko sote waqt surah mulk ki tilawat karta hai Allah subhanahu tala use qabar ke azab se bachata hai.
Surah Mulk Parhne Ki Fazilat Hadith Ki Roshni Mein
Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam farmate hai ki surah mulk azab e qabar se rukhsat deti hai. Surah mulk apne padhne walo ke liye qayamat ke din Allah subhana tala se shifarish karenge. Yeha tak ke wo jhagda karegi aur apne padhne walo ko bacha kar le jayegi.
Allah Ki Qudrat Ka Bayan :Surah Mulk Ki Roshni Mein
Allah subhana tala ne Surah Mulk me apni qudrat ka bayan kiya hai. Iss surah me Allah subhana tala ne farmaya hai ki zindagi aur maut ka malik main hoon. Maine zameen aur asman ko banaya hai aur qareeb wale asman ko roshan chiragon se sajaya hai, yani sitaron se. Unse shaitano ko pathar barsana ka zariya bhi banaya hai, aur unke liye bhadakti aag bhi tayar ki hai. Surah Mulk mein Allah tala farmate hain maine perindon ko paida kiya jo asman mein udte hain aur zameen ko saaf rakhte hain. Aur insan ko paida kiya, unke kaan, aankhe aur uski poori takhleeq ki hai. Allah taala ne hame Pani ata farmaya hai aur bohot sare rizq bhi. Jaise Surah Yaseen me bhi bayan kiya gaya hai, Allah ki qudrat har jagah zahir hoti hai.
Conclusion
Surah Mulk insaan ke liye Allah ki qudrat aur hukumat ka wazeh izhar karti hai. Yeh surah insaan ko zindagi aur maut ke asal maqsad ka ehsaas dilati hai aur qabar ke azab se hifazat ka zariya banti hai. Hadees ki roshni mein, yeh surah qayamat ke din apne padhne walo ki shafaat karegi aur jannat mein dakhil karwayegi. Rozana raat ko iski tilawat se insaan raat ki hifazat mein rehta hai aur apni akhirat ke liye bhi nijat ka sabab banata hai. Isliye, Surah Mulk ko apne amal mein zaroor shamil karna chahiye.